Kishna bete sabse pahli baat ki yeh ek bohot badi mithya hai ki sperm bahar nikalne se garbhdharn nahi hota hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhi bohot kaafi hota hai. Yeh padh lijiye: https://lovematters.in/hi/news/10-most-common-contraception-myths Dusri baat ki unwanted 72 ek emergeny goli hai jo ki unsafe sex ke 72 ghanton ke andar hee lee jaati hai, uske baad iska koi asar nahi hota hai. Aur jyada yaha padhiye zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/birth-control/top-10-facts-about-emergency-contraceptive-pill So.... yeh sex unsafe tha - ismein pregnancy ke chances ho skate hain. Iske liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Phir kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare Facebook aur Instagram mein zarur shamil ho: https://www.facebook.com/lovematters.india?mibextid=LQQJ4d https://instagram.com/lovemattersindia?igshid=YmMyMTA2M2Y=

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>