Raj bete sirf chhune se toh HIV hone ki sambhavana nahi ho sakta hai, lekin yadi aapko koi sandesh ho raha ho toh sandeh mein rahne se achchha hai ki kisi panjikrit lab mein jakar ek test kara lijiye aur sthiti ko nishchit kar lijiye. Aur bete fever aane ke kai anya karan bhi ho sakte hain, jiske liye ek panjikrit doctor se mil lijiye. Ye bhi jaan lijiye ki yadi jis vykti ke saath aap unsafe sex kar rahe hain use HIV Positive hai toh HIV hone ki sambhavna hai. Duniya bhar mein sabse adhik HIV casess, sex ke zariye hue hain. Lekin HIV aur bhi kai asurakshit karano se hota hai. So! Zara detail mein yeh niche diya hua link padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/hiv https://lovematters.in/hi/safe-sex/stdsstis/hivaids-top-five-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna   chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>