Himanshu bete, face kharaab hone se kya aapka matlab acne se hain? Iski wajah hastmaithun nahi. Kisi dermatologist se is baare mein consult kijiye. Bete jab hastmaithun se koi nuksaan hee nahi hai toh isse chhodna kyun? Hastmaithun rokne ka koi jadui nuskha toh hamare paas nhi h. Hum toh yahi keh sakte hain ki doosre kaaryon main dhyaan lagao,aisi bahut see activities hain, jinmein aap samya bitaa sakte hain, jaise ki khel – games, gym ya koi hobbies…ok? Zyaada chinta mat kijiye, hastmaithun ek surakshit tareeka h khud ko antusht karne ka, aur isse koi nuksaan nhi hota.. Yaha padhiye: https://lovematters.in/hi/news/masturbation-harmful https://lovematters.in/hi/news/masturbation-bad-habit https://lovematters.in/hi/resource/men-masturbating Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board ‘Just Poocho’ mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>