Adarsh bete, hum sex se liye koi bhee tablet lene ki salaah nahi dete hain. Iske kai side effects ho sakte hain. ho sakta hai aur saath hi iss par ek baar yadi nirbhar ho gaye , so iske bina kar nahin payenge. Jab koi beemari ya kami ho toh baat bhi hai – wo bhi doctr ki salaah se varna nahin. Bete yadi shareer mein uttejna adhik ho, sex ki bhavna zyada hogi toh sheegra hi patan hone ki sambhavna bhi adhik ho sakti hai. Aisi stithi mein, partner par focus badhana, foreplay, yaani bete ki pravesh karne se pehle bahut se alag alag kriyaen karna , jinse dono ko anand mile, apne partner ki uttejna badhana, yeh sab activities sabse zaroori hain. Iske ilava, partner ke saath sex karne se pehle, ek baar hast maithun kar saktey hain, utne samay pehle jitne mein ling mein tanaav aa jaaye. Condom ka istemaal bhi jaldi discharge kum karne mein madadgaar saabit ho sakta hai. https://lovematters.in/hi/news/premature-ejaculation-top-five-facts Adarsh bete, garbhnirodhan ke kai upaye hain jinhe aap apni suvidha ke mutabiq le sakte hain woh aap yaha padh sakte hai: https://lovematters.in/hi/resource/birth-control Lekin yadi aap pregnancy ke risk se bachna chahte hai to kisi aur tarikay ke mukabley Condom ka istemal hi easy aur safe tareeka hai. Isse unchahe garbh ke saath saath yon sakramad ke khatre se bhi bacha ja sakta hai. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board ‘Just Poocho’ mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>