Abhay bete HIV Positive vyakti se sex karne mein yadi condom break ho jaye to HIV hone ki sambhawana ho sakti hai. Aapko koi sandeh ho toh ek vishesgya ya sarkari hospital se sampark kijiye, kisi bhi doubt mein se rehne se achha hai ki ek HIV test zarrur kar lein. Yadi jis viykati ke saath aap unsafe sex kar rahe hain use HIV hai toh HIV hone ki sambhavna hai. Duniya bhar mein sabse adhik HIV casess, sex ke zariye hue hain. Lekin HIV aur bhi kai asurakshit karano se hota hai. So! Zara detail mein yeh niche diya hua link padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/hiv https://lovematters.in/hi/safe-sex/stdsstis/hivaids-top-five-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>