Dekhiye Pankaj bete yeh ek bohot badi mithya hai ki sperm bahar nikalne se garbhdharn nahi hota hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhi bohot kaafi hota hai. Zara yeh padhiye: https://lovematters.in/hi/news/10-most-common-contraception-myths Yeh sex unsafe tha toh ismein pregnancy ke chances ho skate hain. Iske liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye aur sthiti ko nischit kar lijiye. Yadi positive ho toh phir - kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>