Rahul bete, yaad rakhiye ki hastmaithun ek safe/surakshit tareeka hai apni santushti karne ka. Isse koi nuksaan ya beemari nahin hoti. Relax, beta. Jaldi viryapaat hone se koi baat nahin, don’t worry. Toh sabse pehle toh apni partner ki body ko samjh lo- usko time de do. Aur yadi shareer mein uttejna adhik ho, sex ki bhavna zyada hogi toh sheegra hi patan hone ki sambhavna bhi adhik ho sakti hai. Aisi stithi mein, partner par focus badhana, foreplay, yaani bete ki pravesh karne se pehle bahut se alag alag kriyaen karna , jinse dono ko anand mile, apne partner ki uttejna badhana, yeh sab activities sabse zaroori hain. Iske ilava, partner ke saath sex karne se pehle, ek baar hast maithun kar saktey hain, utne samay pehle jitne mein ling mein tanaav aa jaaye. Condom ka istemaal bhi jaldi discharge kum karne mein madadgaar saabit ho sakta hai. https://lovematters.in/hi/news/premature-ejaculation-top-five-facts Jahaan tak parents banne ki baat hain, kya aap is bare mein abhi tak kisi doctor se millein hai? Ek visheshagya ya achchhe panjikrit doctor se consult kijiye. Aur jaldi pregnancy ke tips yaha pahdiye: https://lovematters.in/hi/resource/tips https://lovematters.in/en/news/getting-pregnant-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>