Mandeep beti, kai log aisa maante hain lekin ismein koi sachchai nahi. Jhilli ek yoni ki twacha ka hissa he hai aur veh kabhi bhi toot sakti hai - khel kood se, baaghne daudne se, baith ke poncha karne se, cycling, horse riding ityadi. Isiliye first time sex ke dauraan hymen ke kaaran bleeding ho, ye bilkul zaroori nahi. Jab tak mahila khud nahi batayegi ki woh pehli baar hi sex kar rahi hain koi bhee vyakti is baat ka pata nahi laga saktay. Waise bhi yeh aapka shareer hai, aapki zindagi isse judi koi bhee baat aap kise batana chahte hain kise nahi yeh apka adhikar hai. Isko lekar chintit hone ki zaroorat nahi hai. https://lovematters.in/hi/resource/faqs-hymen-and-virginity https://lovematters.in/hi/making-love/virginity/female-virginity-top-five-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare Discussion Board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>