Rajesh bete, baathroom jaana garbhnirodhan ka tareeka nahi hain. Sex ke baad baathroom jaane se pregnancy se bachne main koi sahayata nahi hoti hain. Bete garbhnirodhan ke kai upaye hain jinhe aap apni suvidha ke mutabiq le sakte hain woh aap yaha padh sakte hai: https://lovematters.in/hi/resource/birth-control Lekin yadi aap pregnancy ke risk se bachna chahte hai to kisi aur tarikay ke mukabley Condom ka istemal hi easy aur safe tareeka hai. Isse unchahe garv ke saath saath yon sakramad ke khatre se bhi bacha ja sakta hai. Ji nahi, condom use karne se koi infection nahi hota hain. Periods ke dauran sex mein koi dikkat nahi jab tak dono partners ki isse karne mein barabar ki marzi shamil ho Lekin yaad rakhiye is duran condom ka istemaal anivarya hai taaki kisi bhi sankraman se bachha ja sake. Yeh bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>