Beta Raman, kya aap yeh keh rahee hain ki aap yeh abortion kar chuki hain? Kya aapne ismein kisi visheshagaya ki madad li thi? Bete hota kya hai na ki ismein ek visheshagay, ek panjikrit doctor ki dekh-rekh ki zaurat hoti hai taaki abortion ki yeh prakriya safaltapurvak ho sake. Ab beta apne shahar mein FPAI clinic, pariwar sewa kendra dhondhiye, unse sampark kijiye-Kewal unhe ki dekh-rekh ke baad pata chal sakta hai ki abhi sthithi kya hai, abortion safaltapurvak hua hai ya nahi. Aapna dhyan rakhiye, sahi kadam utahiye, yeh samay bhee guzar jayega. Is beech aap kya mehsoos kar rahe hain hamein hamare discussion board par likhiey-wahan ham jawab bahut jaldi aap tak pahuchate hain. Take care. https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>