Neha bete! Family relation mein shaadi karna kai pranton mein swikarya hai aur kai pranto mein nahi hai. Isliye isme samasya ho sakti hai. Aur Please koi bhi kadam uthane se pehle - jis mein caste, dharam, age, parents ka virodh jaisee stithi saamne aa rahee ho- apni family aur apne lawyer / vakeel/ local police thaane, aas-paas koi NGO se apne haq aur adhikaron ke baare mein poori jaankari lein. Yadi koi kadam uthate hain - to uske kya parinaam kya ho sakte hain - sab pooch leejiye aur aapki aur unki family ko kiss-kiss stithi ke liye tayyar rehna hai - uski poori knowledge le leejiye. https://lovematters.in/hi/marriage/thinking-about-marriage/love-marriages Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>