Period ke DAURAAN? Tab toh pregnant hone ka chance na ke barabar hai beta.Phir bhi kisi bhi risk ya sankraman se bachne ke liye condom ka istemaal anivarya hai. https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Phir bhee aur zyada sure hone ke liye - taaki aap dono relax ho sakein - aap is kriya ke 10 din baad yek home pregnancy test bhi kar lejiye - baat saaf ho jaayegee. Saath hee kisi visheshagya ya achchhe panjikrit doctor se bhi jaldi mil lijiye. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board ‘Just Poocho’ mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>