Oh bête hum samajh sakte hain aapka dil bahut bhari ho raha hoga, aur aap pareshan hongi, lekin bête iski wazah kya hai- kya aap dono ka rishta sahi chal raha hai?? Kya aapne iske baare mein apne husband se baat ki hai, ki unhe kya pareshani hai? Ek baar thoda pyar se unki samasya samajhne ki koshish kijiye, kyunki 5 saal ho gaye hain, toh unhe bhi bachche ke baare mein sochna chahiye. Aap chahen toh apne ya unke pariwar ke kisi bharosemand sadsya ki ya apne kisi karibi dost ki bhi madad lijiye - pata lagaaiye, kya karan hai, tab hi aap is samasya ka samadhan nikal payengi. Thik hai bete!! Aapke apni Auntyji ke paas dubara likhne ka intezar rahega. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>