Bete Ishaani, hum aapki duvidha samjh sakte hain. Aap keh rahee hain ki woh aapse bahut pyaar karte hain! Asal mein bete kai baar pariwaar walon ke saamne pyar ko swiakar kar pana itna asaan nahi hota hai, woh bhi tab jab aap abhi financially independent na ho aur kai baton mein pariwaar par nirbhar hon. Bahut se log pariwar walon ko tabhi yeh batein bata patein hain jab relationship shaadi tak pahuchne ki baat ajaati hai aur woh khud ko financially, mentally, har tarah se kisi tarah ke virodh(agar yeh sthihi aati hai toh) ka sammna karne ke liye tayyar hote hon. Ab aapke mann yeh baat aa he gai hai toh iski kya koi wajah hai? Jo aap detail mein hamse hamare forum par share karna chahengi? Jahan ham aur jyada, gehri charcha is par kar sakein? Aur jyada madad ke liye ise padhiye: https://lovematters.in/en/love-and-relationships/happy-relationships/how-do-you-know-your-relationship-is-the-right-one https://lovematters.in/hi/resource/love-and-relationships Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>