Suresh bete yeh HIV ke lakshan ho aisa bilkul bhee zaruri nahi hai aur yeh bhi ek mithya hai ki red light area mein HIV hogaa hee zaroor - yeh bhi sach nahin. Lekin yadi sex unsafe tha toh yeh thodi mushkil pesh karta hai - nisandeh chances bann jaatey hain - jo ki in lakshano se nahin pata chal sakta. Iske liye, agar aapko sandeh ho raha ho toh, aap ek HIV test zarur le sakte hain kisi panjikrit lab se ya sarkaari asptaal se. Ok beta? HIV ki jaankari in link se lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/hiv https://lovematters.in/hi/safe-sex/can-i-date-an-hiv-person Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>