Gabodu bete, dono alag-alag baaatein hain. Sirf period mein sex karne se HIV nahi hota, uske liye dono partners mein se kisi ka HIV positive hona zaroori hain. Lekin periods ke dauraan sex karte hue condom ka istemal anivarya hai taaki kisi bhi sankraman se bacha ja sake. Yeh bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Oral sex se HIV hone ke chances waise bhee bahut kam hain. Jab tak ki jispe oral sex kiya ja raha hain, uske body pe cuts, ya jo oral sex kar raha hain, uske muh main chaale ya cuts na ho, aisa hone ke chances na ke barabar hain. Is khatre se bachne ke liye behtar hoga behtar hoga yadi condom ka isteml kiya jayein aur yaha padh lijiye: https://lovematters.in/hi/news/oral-sex-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board ‘Just Poocho’ mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>