Ajeet bête virus ka kisi bhi surface par zinda rehna sirf time par depend nahi karta. Aur bhi kayee factors hote hain, jaise surface par nami yani moisture, surface aur bahar ka temperature, infected vyakti ke khoon mein virus ki maatra (yani viral load) kitna hain. Isliye koi bhi 100 percent nahi keh sakta ki virus ka khatra sirf 2 minute rahega, 10 minute rahega ya 1-2 din. Isliye sabse safe yahi hai ki sui ya blade ka istemal dubara kiyee hee nahi jaye. Aur yahi medical salaah bhi hai. Ise padhiye: https://lovematters.in/hi/news/hivaids-myths-busted-part-2 https://lovematters.in/hi/news/hivaids-myths-busted Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>