Rajesh beta hum kisi ko bhi galat jaankari nahi dete aur na hi galat jaankari dena sahi hota hai - hum jo bhi jaankari dete hain wo hamare trainings ke aadhar par hota hai. Yeh bilkul sahi hai ki HIV viruse jaise hee thoda air ke sampark mein ata hai samapt ho jata hai. Air ke sampark mein virus kuch hee minuts tak jeevit reh sakta hai. Lekin agar aap syringe ki baat kar rahe hai toh syringe band hone ke karan woh lambe samay tak jeevit reh sakte hain. Isliye ek baar istemal kiya gaya syringe ka doobara istemal karna mana hai. Ise padhiye:
https://lovematters.in/hi/resource/hiv
Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho!
https://lovematters.in/en/forum
Rajesh beta hum kisi ko bhi…