Uma bête hum aapki pareshani samajh sakte hain, wo aapko dhokha de rahen hai- aur aapne suicide karne ki bhee koshish ki- ismein nuksaan kiska hai bete?
Aur aap divorce ka nirnay sirf isliye nahi le pa rahi hain ki samaj ya pariwar aapko iske liye jimmedar manenge? To isme burai hee kya hai - kaun khada hai aaj aapke saath? aapki umr hee kya hai jo ki aap yeh sab soch bhi rahee hain
Beta jab wo aapko yeh kah rahen hain ki job chhodne par bhee unke behavior mein change nahi aayega toh aapko lagta hai ki is rishte ka koi bhavisya hai?
Please beta aap govt. job mein hain – apne pairon par khadi hain, ek baar job chali gayee to aap bilkul unke aadheen ho jaayengee -yeh mat kar deejiye! sochiye- samajhiye aur ek sahi nirnay lijiye- apne liye aur apne bachhon ke liye. Beta mahilayein bahut gambheer stithi se guzr kar aage badhtee hain, kaam talashtee hain, apni jageh banatee nahin , bhale hee koi bhi kuch bhi kahe.. yeh life aapki hai, aapki bachon ki apke parivaar ki. aap thodi see bhi himmat dikahiye - kisi ki parwaah mat keejiye - aage badhiye - bekhauf aur dekhiye- 4- 5 saal mein aapko yeh waqt yaad bhi nahin aayega aur jo samaj aaj aapko daraa raha hai, apki misaal deyta hua nazar aayega. Pyaar aur sneh ke saath, Aappki auntyji
Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho!
https://lovematters.in/en/forum
Uma bête hum aapki pareshani…