Oh bête! Hum aapki pareshani samajh sakte hain ki aap kis paristhiti se gujar rahin hain, aur is pristhiti mein pareshan hona lazmi hai, lekin ab jo hai so hai bête - ab ye sochiye ki iske aage aapko kaise badhna hai. Aapne poori safayi aur sachayi dikhate huye apni sachayi batayi aurunhone aapka fayda uthaya aur ab is tarah ka behave kar rahe hain – kya aise insaan ke saath apni poori zindgi bitana chahte hain? Jo aapko ain mauke par dhoka de de? aur agar sex ho bhi gaya toh kon si badi baat hai? Aur ek baat bête yadi unhone shadi karne ka wada kane ke baad aapse physical relation banaya aur shadi se inkaar kar rahe hai toh ye gairkanuni hai aur yadi aap chahen toh kisi achchhe wakeel se mil kar iske bare mein kanuni madad bhi le sakti hain. https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/sexual-harassment/abusive-relationships Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>