Shivi beti stress, tension ya hormonal changes ke karan bhee period late ya jaldi aa jata. Lekin is bare mein kisi vishesagya ya panjikrit doctor se mill lena sahi hoga. Ise padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle https://lovematters.in/hi/our-bodies/my-periods-are-irregular-what-should-i-do Aur bina condom ke sex karna apne aap mein ek safe idea bilkul bhee nahi hai. Isse anchahe garbh ke saath kai youn rog hone kaa bhi khatra ho sakta hai. Saath hee yeh ek bohot badi mithya hai ki sperm bahar nikalne se garbhdharn nahi hota hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhi bohot kaafi hota hai. Aur sorry bete hum koi medicine nahi bata sakte hain, bina doctor ke salah ke kisi bhee medicine ka istemal swasth nahi hota hai. Yeh unsafe sex tha, ismein pregnancy ke chances ho sakte hain. Iske liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Phir kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Aur yeh kah pana ki kaun kab aur kis din garbh dhaaran kar lega ya falana din mein koi garbh dhaaran kar leta hai zara mushkil hai kyunki yeh har kisi ke liye alag hai. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>