Bete bahut dukh hua sunkar, lekin asal mein kya hai jab vyakti ko gussa aata hai toh muh se aisi baaten nikal jaati hain, jo nikalni nahi chahiye - jinka baad mein pachhtaava bhi bahut hota hai – ummid karte hain aapke pati bhi pachhata rahe honge kyunki jo unhone kaha hai wo kahne wali baat nahi hai – in baton se kisi ko bhi thes ya chot lag sakti hai – so unka yeh kahna bilkul bhi sahi nahi hai. Ham apna chehra ya sharer ka koi ang kisi aur vyakti ke liye kaise change kar sakte hain? Agar yahi baat aap unse kahen ki unka naak ya unka rang aapko pasand nahi hai toh kya wo apna naak ya rang badal lenge- nahi na? Apne upar yeh sab karne ka koi matlab hi nahi hai. Ummid karte hain ki aap yeh samajh sakti hain- aap khud samajhdaar hain. Apne aap ko guilt mahsus karne mat dijiye- thoda cool rahiye – ummid karte hain ye aandhi bhi jald hi tal jayegi- tab tak apne aap mein rahiye- T.V. dekhiye – khus rahiye. https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/relationship-problems/fights-in-a-relationship Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>