Oh bête yeh toh bahut hee dhukhad aur chintawali sthiti hai aur aapka pareshaan hona bhi jayaz hai. Sabse pahle toh bête aapko kya lagta hai ki aap is shadi ko continue rakh paayengi- is haalaat mein? Wo apni sari salary drink mein aur khud par hee uda de rahe hain- aur toh aur aapke paise bhi chura lete hain, in sab ke saath aapke liye unke saath aage poori zindgi jina bahut muskil ho sakta hai. Jo insaan shadi ke 2 mahine mein aisa kar raha ho – uske saath kya aapka bhavisya surakshit hai? Kya aap unke gharwalon se iske bare mein baat kee hain? Please unse iske bare mein baat kijiye aur unki rai lijiye – saath hee mummy par bojh nahi banana chahti hain - thik hai - lekin apni pareshaani ke bare mein unhe zarur bataeeye. Kisi tarah se darna nahi bête, aur ek sahi nirnay lena .Apne paron par khadi hone ki koshish kari aur kisi par bojh banana ki baat mat socho. Aapko hamara pyaar. https://lovematters.in/hi/marriage/marriage-troubles/separation Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>