Naima bete hum aapki pareshani samajh sakte hain, lekin aap ko darne ki zarurat nahi- aise logon ka dat ke saamna kijiye. Kya aapne iske baare mein kisi se baat ki hai? Apne pariwar ke kisi bharosemand sadsya se ya apne kisi bharosemand dost se madad lene ki koshish klijiye- unhe poori sthiti samjhate hue, Ya aap chahen toh kanuni madad bhee le saktin hain. Apne aas paas kisi local police, kisi lawyer/wakeel ya kisi panjikrit NGO se salah lijiye. Bete shayad aapko aisa lag sakta hai ki ye bade bade kadam hain lekin isse behtar ki aap baar baar blackmail hoti rahen – aapko koi-na-koi kada kadam toh uthana hee hoga- toh kyun na ghar, pariwar ya doston se pahle shuru kiya jaye. Aur jahan tak baat badnaami ki hai toh yeh toh aam dhamki hai jo aurton ko saalon se dee ja rahi hai, lekin bête ismein jitni badnaami aapki hai, utni unki bhee hai- toh kya wo itna bada risk lena pasand karenge- yeh baat khud sochiye- aap unhe behtar janti hain. Kya yeh keval ek gidadbhabhaki toh nahi? Sabse badi galti aap karengi ki – yadi aap darr ke baith jayengi- ek baar unhe lalkaariye aur kahiye ki jo karna hai kar len- phir dekhiye! Aapke dubara likhne ka intezaar rahega, God bless you bete!! https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/blackmail-in-relationships-top-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>