Hmm... yaad rakhiye beta ki police complaint ya family mei badnami - aap bhi kar saktey hain. Atpatti baat hai lekin veh to shadi shuda hai - unke ghar men baat phail gayee to unka to bahut hee bada loss ho sakta hai... Rahee baat utpeedan ki - yeh bhi aap band kar saktey hain - BUT iske liye aapko bahut pakka hona padega - ki yadi veh kuch kar dikhaye - to aap kya karenge. Tayyari keejiye - sochiye - maaniye ki yadi aapne keh deeya - jo karna hai kar lo... mein nahin aane waala - to veh kya kar sakteen hain? Ab us stithi ki tayyri karo. Chaho to koi lawyer ki salah bhi le lo. Suno beta- kabhi na kabhi to yeh maamla samapt karna hee hoga - koi na koi tamasha to hoga hee...so bas, ready hona shuru karo... aur jald se jald usse milna bandh karo. https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/blackmail-in-relationships-top-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>