Beta yeh to bahut hee mushkil ho gayee, unki shadi ho gayi hai - is sthiti mein aap unhe sanyam rakhne ko kahiye - mar jana kisi bhi samasya ka samadhan nahi ho sakta. so sabse zaroori - ki aap pehle apne maata pita se, ya ghar mein koi ho - unse ye saari baat kahiye aur janane ki koshish kijiye ki unki kya rai hai iske baare mein. Dusri baat ye hai bete ki unki shadi ho gayi hai so yadi aap dono shadi karna bhi chahte hain toh yeh jaan lijiye ki bina talak hue dusri shadi karna gairkanuni hota hai, aapko aur unko bahut samasya ho sakti hai - ismein kanuni madad lee ja sakti hai- agar aap dono taiyar hon toh- lekin yeh ek lambi prakriya hoti hai, jisme bahut sanyam rakhna padega- lamba intezar karna pad sakta hai. Jahan tak unhe wahan se nakalne ki baat hai toh please koi bhi kadam uthane se pahle apni family aur apne lawyer / vakeel/ local police thaane, aas-paas koi NGO se apne haq aur adhikaron ke baare mein poori jaankari lein. Yadi koi kadam uthate hain - to uske kya parinaam kya ho sakte hain - sab pooch leejiye aur aapko aur family ko kiss-kiss stithi ke liye tayyar rehna hai - uski poori knowledge le leejiye.Umeed hai, sab baatein clear ho chuki hain. Aapko, hum sab ki ore se - best of luck. https://lovematters.in/hi/marriage/thinking-about-marriage/love-marriages Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>