Oh Ho Sheetal - itne bade bade nirany aap le rahee ho - kya aapne poori tareh soch leeya hai? Sabse pehel - woh ladka kya karta hai? Kya aap dono ek ghar le saktey hain, kiraya, kitchen aur ghar baar ko chala saktey hain kum se kum aane waale 4 - 6 mahine - itni savings hain aap done ke paas? Shuru yahan se keejiye. Varna bhaag ke - aap jaengee kahan? Phir - aapke ghar wale aur sasural - chup to baithenge nahin. woh aapko dhoodhte hue aayenge - Police, FIR, Kidnapping, maar peet, rona dhona,- ready hain? Ab yeh sab aarop aap per nahin kewal - aapke BF pe utney hee lagne waale hain - kya usme dum hain? Kya woh jhel leygaa yeh sab? Phir uski family - unka rona dhona, tum par hazaar tippani - manage kar leynge? Aur yeh ek ek kar ke nahin sab ek hee saath, barsaat ke jaise - nirnatar chalene waala hai - Kya aap DONO tayyar hain? Apne Bf ke saath sab kuch plan karo pehle - phir aisa koi kadam uthao https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/stuff-to-know-before-you-say-chal-ghar-se-bhag-chalein Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>