Bete shadi ke liye aapki age 18 years honi chahiye with certificate - proof ke liye. Aur jis rishte mein caste ya dharm jasee sthiti samne aa rahi ho usmein bahut muskil ho sakti hai, bahut log bich mein tut jate hai. Jaisa ki aap janate hee hai aur aitihasik taur bhee aap dekhen toh yeh rishta bahut muskil se ban pata hai. Is rishte ko hamesha shak ki nazar se dekha jata hai aur hindu aur muslims ke bich ek duri banayi jati hai. Is kism ke sab baatien sochiye - poochiye - jaankari leejiye - aur phir kadam utahiye. Umeed hai, sab baatein clear ho chuki hain. Aapko, hum sab ki ore se - best of luck. https://lovematters.in/hi/marriage/thinking-about-marriage/love-marriages Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>