Anish beta aap married ho aur dusri shadi karna chahte ho aur wo bhee bhag kar? Toh yeh jaan lijiye ki bina talak hue dusri shadi karna gairkanuni hota hai, aapko aur unko bahut samasya ho sakti hai. Ismein kanuni madad lee ja sakti hai- agar aap dono taiyar hon toh- lekin yeh ek lambi prakriya hoti hai, jisme bahut sanyam rakhna padega- lamba intezar karna pad sakta hai. Saath hi aapki patni ka kya kahna hai iske baare mein? Kya aapne apne aur unke rishte ke bhavisya aur bachche ke baare mein baat kiya hai? Unse iske baare mein baat kijiye aur apne aur unke pariwarwalon se bhi baat kijiye - shayad koi hal nikal paye! Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>