Bete kisi ka kisi ko bhee dhokha dena galat hai chahe wo purush ho ya mahila. Lekin yeh bahut dukh ki baat hai ki shadi se pahle ya shadi ke baad kuchh log dhokha to dete rahte hain- vishwas todte hee hain. Lekin beta jab ek rishta ek makaam tak aa ke ruk jaata hai ya usmein vishwas khatm ho jaye, toh use phir shuru karna ya us per hee tike rehana shayed itnee samjhdaari nahin. Aisee sthiti mein aage badhiye, naye kadam uthaiye, naye aur purane dost dhoondhiye, films, music, koi hobbies. Jaise ki unhone keeya hai. Apni zindigi jeene mein utar jaiye. All the best. https://lovematters.in/en/news/shes-avoiding-me-now-what https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/breaking-up/how-to-get-over-a-break-up-a-proven-technique Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>