Oh Priya bete yadi hum sahi samajh rahe hain ki yeh kisi nazdiki ke saath hua hai? 11 saal mein? Rape? Yeh toh bahut hee dukhad hai. Kya aapne iske baare mein kisi se baat kee hai - share keeya ho? Kar leejiye. Hymen tutne ke toh bahut se karan ho sakte hain jaise ki tez khel, daudna, ponchha karna, cycling vagairah. Lekin internal nuksaan toh koi panjikrit doctor hee bata paayenge - yadi aisa kuch hua ho to. Abhi toh lock down ki sthiti hai, chahein to apne shahar ke govt. hospital jaakar ek doctor se mill lijiye ya aapke parichit mein koi achchha panjikrit doctor ho toh unse consult kijiye. Yadi is vaakkya ko bahut samay guzar gaya hai - to yadi aap is kisse ke baare mein kisi ko naa bhi batana chahien to bhi aapki hee choice hai - aap phir bhi check up to karvaa hee saktee hain hai na? Ise bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/faqs-hymen-and-virginity https://lovematters.in/hi/making-love/virginity/female-virginity-top-five-facts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>