Sonal bête bilkut sahi soch rahin hain aap, jis rishte mein engagement ke baad se hee yeh sab ho raha ho- us rishte ka kya bhavishya ho sakta hai? Aapko lagta hai ki aapne is rishte mein bahut kuch khoya hai - to paaya kya? yeh kaun sa pyaar hota hai beta? Nahi yadi abhi se hee apko yeh rishta khushi se zyada dukh de raha hai, suicide ke kahayl tak - to yeh kis kaam ka? Na aapke liye na hee aapki family ke liye. Beta Jo aadmi aapke saath aaj aisa kar rahaa hai- wo baad mein kya kya karega? Khud sochiye beta!! Agar possible ho toh apne pariwarwalon se iske bare mein baat kijiye aur apna samay aur apni zindgi kharab mat kijiye - is aadmi se door kijiye apne aap ko aur apni life mein aage badhiye. Is waqt aapko ye karna bahut mushkil lagega - ki yeh nahin ho payega - lekin beta aap pehlee ladki nahin jo yeh kadam utha rahee hain... apne liye, apne bhavishya ke liye. Bhale hee apka rishta 8 saal ka hua ho - kya baaki ke 60 - 70 saal bhi is person pe gavnaana chahtee ho? Zindigi bahut lambi hai beta - aur bahut sundar bhi . Kadam uthao, hatao isse aur ek naya, surakshit, khush jeevan ki pehal karo. Dekhna yeh kartey hee, ek to yeh person tumhara bhakt ho jayega aur dossra tum bahut free ho jaogee. Hum laakh baar ladkiyoun se kehtey hein - yeh rishte ke achche lakshan nahin - veh nahin suntee... nahin maantee - aur anjaam , wohi... jis taraf aap jaa rahee ho. Apne aap ko sambhalo, apne aap ko value do, aur apni life apne haath mein lo. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>