Raj beta, ECP ka istemaal sirf emergencies mein hona chahiye, naki rozz ke istemaal mein ya tab jab sex mein zimmedari na li gayi ho. Lekin yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai. PLEASE in goliyon ko laparvahi se istemaal mat kijiye. Aap patni ko pyaar karne ka vaada karte hai, toh izzat bhi kijiye. https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex Bete garbhnirodhan ke kai upaye hain jinhe aap apni suvidha ke mutabiq le sakte hain woh aap yaha padh sakte hai: https://lovematters.in/hi/resource/birth-control Lekin yadi aap pregnancy ke risk se bachna chahte hai to kisi aur tarikay ke mukabley Condom ka istemal hi easy aur safe tareeka hai. Isse unchahe garv ke saath saath yon sakramad ke khatre se bhi bacha ja sakta hai. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>