Suraj bete, in ECP pills ko unsafe sex ke baad 72 hours mein lena hona hain. Iske baad itna effect kam ho jata hain. yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai PLEASE in goliyon ko laparvahi se istemaal mat kijiye. Pill lene ke baad period miss hona koi badi baat nahi. Lekin kyunki aapki intimacy ka samay 4 din ka tha, is case mein unwanted 72 lena garbhnirodhan ka kaargar tareeka nahi mana ja sakta. Safe sex ke liye condom ka istemal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bête, yaha padho zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex Bete yadi yeh sex unsafe tha toh yes ismein pregnancy ke chances ho sakte hain. Iske liye phoren ek home pregnancy test lijiye. Phir kisi vishagya ya achche panjikrit doctor se milo aur dekho kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://www.fpaindia.org/ Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>