Umeed h aapko abhi tak hal mil gaya hoga. Agar nahi toh kisi panjikrit docttor se is bare main milnaa aur consult karna sensible hoga. Aur Jaldi pregnancy ke tips yaha pahdiye: https://lovematters.in/hi/resource/tips Kya aap log 40 varsh se upar hain? Ya 35? Nahin na? Beta ek tareh se yeh bilkul theek hai, abhi enjoy karo, ek doosre ko jaano, ghoomo, baahr jao… maza karo, kaam ya job mein focus karo aur phir bachche ke socho- jab aap har tareh se tayyar ho, khaas kar ke hone waali maa. Yaad rahe beta, , ki baby Ke aatey hee yeh sab change ho jaata hai- dono partners ke Ke beech mein bhi bahut kuch badal jaata hai, hain na… so jab tak fully ready na ho, thoda time do. Theek hai? Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>