Lagta hai aap samlaingik ya purushon ke beech rishtey ke baare mein baat kar rahe hain. So baat yeh hai puttar ki han is kism ke rishtey hote hain, aur log saath reh ke yeh rishtey nibahate hain - family banate hain. Isme koi nayee ya adbhut baat nahin Lekin, yeh bhi sach hai ki samaj ghar pariwaar - in sab baaton ko achcha sahi nahin maanta - aur iski vajeh se bahut see problems ho saktee hain - yeh bhi aap sahi soch rhe hain beta. Ab aapke saamne nirnay lene ka waqt aa raha hai. Ki kya jiss vyakti ke saath aap rehna chhatey hain veh aapke is bade balidaan ke laayak hain, kya aap unke bharose - apne doosre ati ahem rishte chhod dein - yeh sahi hoga? Yeh sawaal to har rishtey pe laagu hote hain - lekin is stithi mein shayad zyaada. Beta, ek dum se is rishte mein aa jaana shayed itna madadgaar na ho - kyun na aap ahist ase yeh baat uthana shuru karien - dekhiye veh kya sochtey hain - unhe thoda tayyr keejiye - thoda aware keejiye. Saath hee sath apni naukri, kaam, society mein jageh bhi banane mein time deejiye. Yeh sab baatein aapko "negotiate" charcha karne mein madad deyngee. Mushkil samay beta, apna khayal keejiye aur shant ho kar ek ek baat pe, vichaar keejiye. Chahe to kisi sansathan ki bhi madad lein, jo ki in muddon pe kaam kartee hain, support deytee hain. Shyed auron ki baatein sun ke bhi aapko himmat aur safai mille. Ok Puttar? Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>