aunty ji namaste, Mai cg korba me engineering kar raha hu mai kiraye par rehne ke liye ek gaav me aaya, waha mere pados me bhaiya bhabhi aur unke do pyare bachche rehte hai, mai yaha 1 saal tak raha par bhabhi ke liye kuch feelings nahi aayi par abhi 1 mahine mai mera nazariya badal gaya hai. 1 din mai gana ga raha tha use laga ki mai use suna raha hu aur us din se wo mujhe ektak dekhti hai aur muskurati hai, apne bachche ko sunakar mujhse baat karti hai, mai kuch bhi bolta hu use kaan laga ke sunti hai, in sab ke karan mujhe usse pyar ho gaya hai din rat wahi nazar aati hai mai jab sota hu to sapne me bhi wahi dikhti hai. Aise hi uske bare me sochte huye pura time nikal jata hai, mai kya karu mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai, log kehte hai ki jo sab ke liye sahi hai tumhe wo karna chahiye fir wo chahe tumhe khud pasand ho ya na ho. Ab agar mai bhulne ki koshish karta hu to wo kisi na kisi bahane mujhse baat karti hai aur usse baat karke mujhe achcha lagta hai mai usse pyar karta hu, mai kya karu mai bahut pareshan hu.

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>