Juli bete relax! Sabse pahle toh period ke dauran sex se pregnancy ke chances na ke barabar hote hai, phir bhee yadi aap aur safe hona chahti hain toh chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test kijiye aur sthiti ko nischit kar lijiye. Aur haan yeh jaan lijiye ki is chichipa pani ko precum kahte hai ismein bhee shukreanu ho sakte hain, isliye kaha jata hai ki precum se bhee pregnancy ke chances ho sakte hain. Saath hee yeh ek bohot badi mithya hai ki virya ke bahar nikalne se pregnancy nahi hoti hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhee kafi hota hai. Ise padhiye: https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>