Saaniya bete relax! Chhune se pregnancy nahi hoti hai, pregnant hone ke liye purush ke shukranu ko mahila ki yoni mein jakar dimb ko nishechit karna bohot zaruri hai jo keval yoni maithuna se hee ho sakta hai. Lekin itna late tak period ka na hona swasth nahi hai par periods ke late hone ka karan stress, tension ya hormonal changes ho sakte hai. Kisi ek visheshgya ya registered doctor se consult karna sahi hoga. Ok Bete! Madad ke liye ise bhee padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare disccsion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>