Dipika bete is baare mein aap dono apne gharwalon se baat kijiye aur pata lagayen ki unka kya kahna hai is baare mein. Aur 4 month ho gaye hain... lekin agar aap pregnancy nahi chahti hai toh Please! Jaldi se kisi visheshagya ya ache panjikrit doctor se miliye aur dekhiye kya ho sakta hai. Kisi bharosemand doctor ki rai leejiye aur kisi neem hakeen ya chemist ki baaton mein bilkul mat aa jaaiye – DOCTOR ONLY. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy Iske alawa aap FPAI clinic se sampark kar sakte hai jiski jaankari aapko issi website pe mil jayegi. https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Time mat gavaiye, jadli keejie Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>