Actually yeh puri tareh se ladki ki mahavari par depend karta hai, yadi who bilkul nirdharit hai ya nahi jiski vajeh se yeh bahut hi risk ka kaam bhi hai. Yadi aap bina kisi protection ke yaa bina kisi suraksha ke sex ki soch rahe hai toh shayad aap unn dino ki baat kar rahe hain jin mein bacha rukna mushkil hai. Yeh ho toh sakta hai lekin yeh poori tareh se surakshit nahi maana jaata. Yadi aap pregnancy ke risk se bachna chahte hai to kisi aur tarike ke mukable condom ka istemal karna easy aur safe tarika hai. https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex Safe sex ke liye condom ka istemaal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bete, Yeh mahila ke masik dharam par asar kar sakti hai. Bete Periods ke shuruwat mein inka aneemit hona swabhavik hai lekin baad mein yeh takreeban 28 se 34 dino ke antaral pe hoti hai, jo ki har mahila ke liye alag alag hota hai. Ok? https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Aap iss baare mein humse vristaar mein charcha humare discussion board "just poocho" par humse kar sakte hai. https://lovematters.in/hi/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>