Kajal bete, periods ke shuruat mein inska aneemit hona swabhivik hai lekin baad mein yeh takreeban 28 se 34 dino ke antral pe hoti hai, jo ki har mahila ke liye alag alag hota hai. Yadi yeh zyaada jaldi ya zyaada late ho rahe hain toh ek visheshagya ya achchhe panjikrit doctor se consult kijiye. https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Bete yadi yeh sex unsafe tha toh yes ismein pregnancy ke chances ho sakte hain. Iske liye phoren ek home pregnancy test lijiye. Phir kisi vishagya ya achche panjikrit doctor se milo aur dekho kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakte hai jiski jaankari aapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://www.fpaindia.org/ Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board ‘Just Poocho’ mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>