Beta unki shadi ho gayi hai aur unka ab ek pariwar hai, ab agar aap dono shadi karna chahte hain toh sabse pahle aapki gf ko apne husband se divorce lena hoga. Kyunki ye jaan lijiye ki pahli shadi ka divorce huye bina dusri shadi karna gairkanuni hota hai. Bete yeh bhi jaan lijiye ki divorce ek lambi kanuni prakriya hoti hai, kaafi samay lag sakta hai aur kaafi sanyam bhi rakhna padta hai. Aur aapko kya lagta hai beta, ki jis family ne unki shadi kahi aur karwa di hai - wo unko divorce lene mein madad karenge ? Aur unki shadi aapse karva denge ? Thoda vastvik hokar sochiye beta, filmi nahi. Aur in sab ke bare mein unke husband ka kya role hai ?? Sochiye, samajhiye aur ek sahi nirnay lijiye. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna   chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>