Kiran bete jo sthiti aap bata rahin hain yeh swasth nahi hai. Samanyataya periods 28 se 34 dino ke antral per ho sakte hai. Yadi yeh in dinon ke antral par na hokar har baar aniyamit hote hai toh is bare mein aap kisi vishesgya ya panjikrit doctor se mill lijiye. Aur ovaluation period janane ke liye ek online reliable website se ovalution calendar check kar lijiye, lekin yeh itna reliable ya bharosemand tarika nahi hai, kisi bhee nazar se. Ise bhee padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle https://lovematters.in/hi/our-bodies/my-periods-are-irregular-what-should-i-do Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>