Dekhiye yeh ek bohot badi mithya hai ki sperm bahar nikalne se garbhdharn nahi hota hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhi bohot kaafi hota hai. Aap chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Phir apne shahar ke govt. hospital ke ek doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. Yeh bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/news/10-most-common-contraception-myths https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>