Radhika bete period ke late hone ke anya karan bhi ho sakte hain, jaise ki tension, stress, hormonal changes, jiske liye aap kisi panjikrit doctor se mill lijiye. Kyunki pregnant hone ke liye purush ke shukranu ko mahila ki yoni mein jakar dimb ko nishechit karna bohot zaruri hai- jo sthiti aap bata rahin hai ismein pregnancy ke chances toh nahi lagte hain, lekin yadi aap safe hona chahtey hain to phoran chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>