Thanks Bete ROSHAN yahan likhen ke liye. Yeh to sach mein bahut dukh ki baat hai ki jin logon mein zara bhee viklangta hoti hai unhe samaj veh aam logon ki tarf se itni samaanta aur samman nahin mil pata. Aur waise bhee jahan samaj mein log RANG, KAD, MOTA-PATLA in baton ke adhaar par logo ko accept karne ya manyata dene mein hichkichate hain toh to disability ko accept karne mein unhe aur jyada mushkil hoti hai. Ab aati hai baat us mahila ki. Yeh bhi sambhav ho sakta hai ki jo bhi apne unhe text mein batya unhe us waqt woh acha laga lekin woh isse accept nahi kar payin. isliye hum wasie bhi online romance pe zyada bharosa nahin karte. Hum ummed karte hain ki aapko aisa ek jeevan saathi milge jo ki aapko har tarah se accept kare aur pyar, samman dein. Tab tak zindigi apne tareeke se jeeyo beta, jo chahe karo, ghoomo, bahan jao, date karo...jitna ho sake...apne hisaab se raho. Kuch aur kehna chahein ya puchna chahein toh hamare discussion board “Just Poocho” mein shamil hon! https://lovematters.in/hi/forum LM team ki taraf se apko apke bhavishya ke liye bahut si shubhkamnayein.

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>