Arman bete, sex karne pe bleeding ho, aisa zaroori nahi. Hymen ki jhilli yoni ki twacha ka ek hissa he hai aur veh kabhi bhi toot sakti hai - khel kood se, baahgne daudne se, baith ke poncha karne se ityadi. Kai mahilaon mein toh yeh janm se hi nahi hoti. Isliye first time sex pe hymen ke kaaran bleeding hona bilkul zaroori nahi.Yeh janne ka koi bhi tarika mojjud nahi hai siwaye iske ki woh swayem apko yeh bateyin. Lekin pyar ka sabse eham pehlu hai vishwash aap woh rakhiye apne mann mein, aur apne rishte ko majbut banaiye. Apne mann se doubt clear kijiye aur yeh padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/faqs-hymen-and-virginity Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>