Beta! HIV Positive vyakti se sex karne mein yadi condom break ho jaye to HIV hone ki sambhawana ho sakti hai. Yadi jis viykati ke saath aap unsafe sex kar rahe hain use HIV hai toh HIV hone ki sambhavna hai. Duniya bhar mein sabse adhik HIV casess, sex ke zariye hue hain. Lekin HIV aur bhi kai asurakshit karano se hota hai.So! Zara detail mein yeh niche diya hua link padhiye:
https://lovematters.in/hi/resource/hiv
https://lovematters.in/hi/safe-sex/can-i-date-an-hiv-person
Lekin kisi bhi doubt mein se rehne se achha hai ki aap ek HIV test zarrur kar lein. Aur unsafe sex ke 3 months ke baad HIV test lene ki salah dee jati hai, ek panjikrit lab ya sarkari aspataal se. Saath hi sex mein Jo bhi karein, SAFE karein.
Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare disccsion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho!
https://lovematters.in/en/forum
Beta! HIV Positive vyakti se…