Bete yadi aapko periods hue hain, chahe aniyamit hi sahi, toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hain. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Unwanted 72 ek bahut hi bharosemand emergency goli hai jo ki unsafe sex ke 72 ghanton ke andar hee lee jaati hai, Lekin yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai. PLEASE in goliyoun ko laparvahi se istemaal mat keejiye. Safe sex ke liye condom ka istemal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bête. Aur jyada yaha padhiye zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/birth-control/top-10-facts-about-emergency-contraceptive-pills Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>